Gumnaam sey jal jaatey hain
Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hainHam charaaghon ki tarah shaam se jal jaate hainBach nikalate hain agar aatish-e-sayaad se hamsholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hainKhudaanumayi to nahi shevaa-e-arbaab-e-wafaJin ko jalanaa ho wo aaram se jal jaate hainShamaa jis aag mein jalti hey numaaish ke liyeHam usi aag mein gumnam sey jal jaatey hainJab bhi aataa hai mera naam tere naam ke saathJane kyun log mere naam sey jal jaatey hainRabt-e-baaham pe hamein kya na kahengey dushmanAashnaa jab tere paighaam sey jal jaatey hain ...!
Thursday, July 17, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)